Aankh se duur na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
zindagi teri ata hai to yeh jaane wala
teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega
--------
The Full Ghazal is Here
Aankh Se Duur Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga
Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga
Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga
Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga
3.
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
4.
Aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai
ham aasaan hain aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai
jis ko sab be-vafaa samajhate hon
bevafaaii usii se mushkil hai
ek do duusare se sahel na jaan
har koii har kisii se mushkil hai
[sahel=approachable]
tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai
5.
Aansuon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Aansuon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Phir Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne
6.
Qariib maut khadii hai zaraa thahar jaao
qariib maut khadii hai zaraa thahar jaao
qazaa se aakh ladii hai zaraa thahar jaao
thakii thakii sii fazaayen bujhe bujhe taare
badii udaas ghadii hai zaraa thahar jaao
nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kadii hai zaraa thahar jaao
abhii na jaao ki taaron kaa dil dhadakataa hai
tamaam raat padii hai zaraa thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokenge
labon pe saads adii hai zaraa thahar jaao
dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghadii hai zaraa thahar jaao
7.
Ye tabiyat hai to khud aazaar ban jaayenge ham
ye tabiyat hai to khud aazaar ban jaayenge ham
chaaraagar royenge aur gam-khvaar ban jaayenge ham
ham sar-e-chaak-e-vafaa hain aur teraa dast-e-hunar
jo banaa degaa hamen ai yaar ban jaayenge ham
kyaa khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq men
dil-baraan-e-shahar ke dil-daar ban jaayenge ham
sakht jaan hain par hamaarii ustavaarii par na jaa
aise tuutenge teraa iqaraar ban jaayenge ham
aur kuchh din baithane do kuu-e-jaanaan men hamen
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaayenge ham
is qadar aasaan na hogii har kisii se dostii
aashnaaii men teraa mayaar ban jaayenge ham
miir-o-gaalib kyaa ke ban paaye nahiin faiz-o-firaaq
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaayenge ham
dekhane me.n shaaKh-e-gul lagate hain lekin dekhanaa
dast-e-gul-chiin ke liye talvaar ban jaayenge ham
ham chiraagon ko to taariikii se ladanaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaayenge ham
8.
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain
9.
ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon men milen
ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon men milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon men milen
Dhuundh ujade huye logon men vafaa ke motii
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen
[ujade=desolated, ruined; Kharaab=bad]
tuu khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon men milen
[hijaab - veil, here it means barrier]
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar men shaamil kar lo
nashaa badataa hai sharaben jo sharaabon men milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen
ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milen
[maazii=past; saraab - illusion, mirage]
10.
Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah
11.
Phir usii raah-guzar par shaayad
phir usii raah-guzar par shaayad
ham kabhii mil saken magar shaayad
jaan pahachaan se kyaa hogaa
phir bhi ai dost gaur kar shaayad
muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur ham-safar shaayad
jo bhii bichhade hain kab mile hain 'Faraz'
phir bhii tuu intazaar kar shaayad
12.
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
13.
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain thee bohat
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain thee bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain thee bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain thee bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain thee bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain thee bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain thee bohat.
(Chor:Something Fishy) (Tark-e-Taluq:Boycott) (Moortain:Idols) (Ikhtlaaf:Not Agreeing)
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
14.
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain
15.
Tum bhi khafa ho log bhi burhum hein dosto
tum bhi khafa ho log bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto
kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto
apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto
kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto
iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto
sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto
16.
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik Nakhl-e-Khushk-e-Saharaa Huun
Teraa Khayaal Ke Shaakh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Main Jaantaa Huun Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Main Maanataa Huun Ke aisaa Nahiin Bazaahir tu,
Hansii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu
17.
Ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulo.n kii tarah mahakenge par dekhegaa kaun
dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaayenge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun
vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai
log to phal-phuul dekhenge shajar dekhegaa kaun
[maharuum=deprived; shajar=tree]
ham chiraag-e-shab hii jab thahare to phir kyaa sochanaa
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun
[chiraag-e-shab=night lamp]
aa fasiil-e-shahar se dekhen ganiim-e-shahar ko
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun
[fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city's enemy]
18.
Ab kis ka jashn manate ho us des kaa jo taqsim hua
ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa
(taqsiim=divided; do-niim=cut in two)
us khvaab kaa jo rezaa rezaa un aankhon kii taqadiir huaa
us naam kaa jo tukadaa tukadaa galiyon men be-tauqiir huaa
(rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect)
us parcham kaa jis kii hurmat baazaaron men niilaam huii
us mittii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam huii
(parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction)
(mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy)
us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahiin
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahiin
(jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice)
us khuun kaa jo bad-qismat thaa raahon men bahaayaa tan men rahaa
us phuul kaa jo beqiimat thaa aangan men khilaa yaa ban men rahaa
(ban=jungle)
us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us magarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luutaa kam samajhaa
(mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point)
(marham=salve/ointment; maGarib=west)
un maasuumon kaa jin ke lahuu se tum ne farozaan raaten kiin
yaa un mazaluumon kaa jis se khanjar kii zubaan men baaten kiin
(farozaan=illuminate; mazaluum=oppressed)
us mariyam kaa jis kii iffat lutatii hai bhare baazaaron men
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai gam-khvaaron men
(iffat=chastity)
in nauhaagaron kaa jin ne hamen khud qatl kiyaa Khud rote hain
aise bhii kahiin dam-saaz hue aise jallaad bhii hote hain
[nauhaagar=mourner; dam-saaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)]
un bhuuke nange dhaanchon kaa jo raqs sar-e-baazaar karen
yaa un zaalim qazzaaqon kaa jo bhes badal kar vaar karen
(dhaanchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit)
yaa un jhuute iqaraaron kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaron kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue
(aifaa=to fulfill)
is shaahii kaa jo dast-ba-dast aaii hai tumhaare hisse men
kyon nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse men
(shaahii=royal)
aankhon men chhupaaye ashkon ko honthon men vafaa ke bol liye
is jashn men bhii shaamil huu nauhon se bharaa kashkol liye
(nauhaa=lamentation; kashkol=beggar's bowl)
19.
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayen
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayen
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayen ?
Tu Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kya Se Kya Ho Jayen
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karen
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayen
Ab Ke Gar Tu Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Lipten Teri Qabaa Ho Jayen
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kya Karen Jub Loog Khuda Ho Jayen
20.
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai
21.
Tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai
22.
Hum jo toote to is tarah toote
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
23.
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Log Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge
24.
Umar bhar ka maan toota, aur kya
Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
25.
Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey
Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey
Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,
Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.
Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey
Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.
Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe
Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe
26.
Janay Kion Shiksat Ka Azab Liye Phirta Hoon
Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon
us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
us ne poocha kab se nahi soye
main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon
us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon
AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON